मैंने कहा मोहतरम - The Indic Lyrics Database

Maine Kaha Mohataram

Lyricist - Sameer | Singer - Sadhana Sargam, Udit Narayan | Music Director - Anand Shrivastav, Milind Shrivastav | Movie - Baazi | Year - 1995

Song link

View in native script

Paidal ho tum manji hai dur
Hamdardi hai tumse huzur
Maine kaha mohataram
Ruke hue kyu hai kadam
Maine kaha mohataram
Ruke hue kyu hai kadam
Kahe ka hai intzar

Mana ke hai lamba safar,
Par tumhe hai kahe ka dar
Chadti jawani hai rut bhi
Suhani hai manjil bhi rahi pukar
Maine kaha mohataram
Ruke hue kyu hai kadam

Chalne mein paw thak jaye jo tumhare
Le lena dam kahi baith ke pyare
Chalne mein paw thak jaye jo tumhare
Le lena dam kahi baith ke pyare

Rahi ko hai thandi chaw jaruri
Baho me ho ya nadi ke kinare
Jana abhi hai tumko dur,
Mera kaha karna jurur
Maine kaha mohataram
Ruke hue kyu hai kadam
Maine kaha mohataram
Ruke hue kyu hai kadam

Dekho kisi bekhata ki
Aise hasi na udao
Lagata hai ye bhi kahoge
Alha hame na satao
Chalo re sakhiyo chane utaro
Ise to lat me fasa ke maro

Dekho kisi bekhata ki
Aise hasi na udao
Lagata hai ye bhi kahoge
Alha hame na satao
Kar do muaf mera kusur,
Had ho gayi ab to huzur
Maine kaha mohataram
Ruke hue kyu hai kadam
Samjhe na mohataram
Ruke hue kyu hai kadam
Kahe ka hai intazar

Mana ke hai lamba safar,
Par tumhe hai kahe ka dar
Chadti jawani hai rut bhi
Suhani hai manjil bhi rahi utar
Maine kaha mohataram
Ruke hue kyu hai kadam

Maine kaha mohataram
Sun liya mohataram
Are maine kaha mohataram
Sun liya mohataram.