बेवकूफियां (टाइटल) - The Indic Lyrics Database

Bewakoofiyaan

Lyricist - Anvita Dutt Guptan | Singer - Raghu Dixit | Music Director - Raghu Dixit | Movie - Bewakoofiyaan | Year - 2014

Song link

View in native script

Dil ko samjha bujha ke
Khud ko ullu banake
Ullu seeda karta rehta hai
Jo toota nahi hai
Tujhse rootha nahi hai
Phir kyun aise dukhta rehta hai

Nakli dillase farzi khullase
Galti pe parde yeh daale hey
Dekar yeh jhaanse
Khud ko hi phaanse
Nuksaan mein dhoondhe munaafe

Bewakoofiyaan
Bematlab betuki se
Bekaar si buddhu si
Bewajah bewakoofiyaan

Bewakoofiyaan
Bematlab betuki se
Bekaar si buddhu si
Bewajah bewakoofiyaan

Para utra nahi hai
Bilkul sudhra nahi hai
Muhn ke bal yeh girta rehta hai
Ab bhi bigda nahi hai
Sab kuch bikhra nahi hai
Muhn latka kyun phirta rehta hai
Kitne dino se auron ko kose
Kaisi yeh zidd pe add gaya
Koyi toh toke
Kam se kam roke
Kab tak khud ko dega yeh dhoke

Bewakoofiyaan
Bematlab betuki se
Bekaar si buddhu si
Bewajah bewakoofiyaan

Bewakoofiyaan
Bematlab betuki se
Bekaar si buddhu si
Bewajah bewakoofiyaan

Hai nadaan re aasaan hai re
In hisson ko toh jodna
Kyun pareshan hai
Na mushkil hai
Muaafi ke bol bolna

Aisi jhooti moothi
Kyun tari hai maare
Kya milega tu bata
Ab kya hissab khole
Tu kya aana pe taule
Kya khoya hai kya haara

Bewakoofiyaan
Bematlab betuki se
Bekaar si buddhu si
Bewajah bewakoofiyaan

Bewakoofiyaan
Bematlab betuki se
Bekaar si buddhu si
Bewajah bewakoofiyaan.