आओ बच्चो मेरे पास आओ मेरे दोस्तो - The Indic Lyrics Database

aao bachcho mere pass aao mere dosto

Lyricist - Anand Bakshi | Singer - Mukesh, Ranu Mukherjee | Music Director - Laxmikant, Pyarelal | Movie - Ek Bechaaraa | Year - 1972

View in native script

Aao bachcho aaj tumhe
Ek kahani sunata hoon main
Sher ki kahani sunoge
Hoon

Hoon hoon
Mere pass aao mere
Dosto ek kissa suno
Mere pass aao mere
Dosto ek kissa suno

Kai saal pehle ki ye baat hai
Bolo na chup kyon ho gaye
Bhayanak andheri
Si yeh raat mein
Liye apni bandook
Main haath mein
Ghane jangalon se guzarata
Hua kahi ja raha tha
Ghane jangalon se guzarata
Hua kahi ja raha tha
Ja raha tha
Nahi aa raha tha
Nahi ja raha tha

Uff fo aage bhi to bolo na
Batata hu bata hu

Nahi bhulti uf wo jungale ki raat
Muje yaad hai wo thi mangal ki raat
Chala ja raha tha me darta
Hua hanuman chalisa padhta hua
Bolo hanuman ki jai
Jai jai bajrangbali ki jai
Haa bolo hanuman ki jai
Bolo bajrangbali ki jai

Ghadi thi andhera magar sakt tha
Koi das sava das ka bus waqt tha

Larazata tha koyal ki bhi kook se
Bura haal hua us pe bhookh se
Laga todane ek beri se ber
Mere saamne a gaya ek sher

Koi gighghi banati nazar phir gayi
To bandook bhi haath se gir gayi

Main lapka wo jhapka
Main upar wo neeche
Woh aage main peechhe
Main ped pe wo peechhe
Are bachaao are bachaao
Main daal daal wo paat paat
Main paseena wo baag baag
Main sur mein wo taal mein
Yeh jungal paataal mein
Bachaao bachaao
Are bhaago re bhaago
Are bhaago

Phir kya hua
Khuda ki kasam maza
Aa gaya mujhe maar kar
Besharam kha gaya
Kha gaya lekin
Aap to zinda hain
Are ye jeena bhi koi
Jeena hai lallu aain