घेरता है गर अंधेरा ये सितारे मन मोरे हाय ये सितारे - The Indic Lyrics Database

gherataa hai gar andheraa ye sitaare man more haay ye sitaare

Lyricist - Shakeel Badayuni | Singer - Mohammad Rafi, Lata Mangeshkar, Chorus, Shamshad Begum | Music Director - Naushad | Movie - Baiju Bawra | Year - 1952

View in native script

ghirta hai agar andhera gam na kar gam na kar
do ghadi me muskurayegi sahar tu gam na kar
ghirta hai agar andhera gam na kar gam na kar

dhal gaya ik aur din achha hua samajho
zindagi jitni kati gam kam hua samajho
shukr kar kuch kam hua ye zidgani ka safar
ghirta hai agar andhera gam na kar gam na kar
ye sitare jal ke bhi khush hai rat ke angare
ye sitare jal ke bhi khush hai rat ke agaare
geet ye ummid ka ro dho ke ga rahe hai ye bichare

man more haye tu kahe ghabraye
kahe tu dare kahe nindiya na aaye
man more haye tu kahe ghabraye
kahe tu dare kahe nindiya na aaye
rakh tu sambhal ke dil ki ye daulat
aansuo ke moti kahe ko ganwaye
rakh tu sambhal ke dil ki ye daulat
aansuo ke moti kahe ko ganwaye
man more haye
man more haye tu kahe ghabraye
kahe tu dare kahe nindiya na aaye
man more haye