हे दुःख भंजन, मारुती नंदन - The Indic Lyrics Database

He Dukh Bhanjan, Maruti Nandan

Lyricist - Traditional | Singer - Various | Music Director - Various | Movie - NA | Year - 1920

View in native script

he dukh bhanjan, maaruti nandan,
sun lo meri pukaar .
pavansuta vinati baarambaar .

asht siddhi, nav nidhi ke daata,
dukhion ke tum bhaagyavidhaataa .
siyaaraam ke kaaj sanvaare,
meraa karo uddhaar .
pavansuta vinati baarambaar .

he dukh bhanjan, maaruti nandan, sun lo meri pukaar .
pavansuta vinati baarambaar .

aparampar he shakti tumhaari,
tum par reejhen avadhbihari .
bhakthibhaav se dhyaauun tohe,
kar dukhon se paar .
pavansuta vinati baarambaar .

he dukh bhanjan, maaruti nandan,
sun lo meri pukaar .
pavansuta vinati baarambaar .

japun nirantar naam tihaara,
ab nahin chhoduun tera dwaara .
rambhakt mohe sharan me lije,
bhav sagar se taar .
pavansuta vinati baarambaar .

he dukh bhanjan, maaruti nandan, 
sun lo meri pukaar .
pavansuta vinati baarambaar .

he dukh bhanjan, maaruti nandan,
sun lo meri pukaar .
pavansuta vinati baarambaar .