श्री गणेशजी की आरती - The Indic Lyrics Database

Shri Ganesh Ji Ki Aarti

Lyricist - Unknown | Singer - Anuradha Paudwal; Others | Music Director - NA | Movie - NA | Year - 1960

View in native script

Jaya Ganesh Jaya Ganesh Jaya Ganesh Deva,
Maata Jaaki Parvati Pita Mahadeva.

Ek Dant Dayavant chaar Bhujadhari,
Maathe sindor sohe, moose ki savaari,
Paan chadhe phool chadhe aur chadhe mewa.
Laduan kaa bhog lage sant kare seva. Jaya Ganesh...

Andhan ko Aankh det kodhin ko kaaya,
Banjhan ko putra det, nirdhan ko maya.
Soor shyam sharan aaye, saphal kije seva,
Maata Jaaki Parvati Pita Mahadeva. Jaya Ganesh...

Deenan ki laaj raakho shambhu sutavaari,
Kaamana ko poorna karo, jaga balihari.
Jaya Ganesh Jaya Ganesh Jaya Ganesh devA,
Maata Jaaki Parvati Pita Mahadeva.