जब ज़िरो दिया है प्रीत जहाँ की रीत सदा - The Indic Lyrics Database

jab ziiro diyaa hai priit jahaan kii riit sadaa

Lyricist - Neeraj | Singer - Kishore Kumar | Music Director - S D Burman | Movie - Sharmilee | Year - 1971

View in native script

Jab zero diya mere bharat ne
Bharat ne, mere bharat ne
Duniya ko, tab ginti ayi
Taron ki bhasha, bharat ne
Duniya ko, pahle sikhlayi

Deta na dashamlav, bharat to
Yun chand pe jana, mushkil tha
Dharti aur chand ki, duri ka
Andaz lagana, mushkil tha

(Sabhyata jahan pahle ayi)-2
Pahle janmi hai, jahan pe kala
Apna bharat wo bharat hai
Jiske pichhe sansar chala

Sansar chala aur, aage badha
Yun aage badha, badhta hi gaya
Bhagwan kare ye aur badhe
Badhta hi rahe aur fule-fale

Hmm..hmm..
Ho..ho..hoho..
Ho..ho..hoho..
Hai preet jahan ki reet sada

Hai preet jahan ki reet sada
Main geet wahan ke gata hun
Bharat ka rahne wala hun
Bharat ki baat sunata hun
Hai preet jahan ki reet sada..
Ho..ho..hoho..

Kale-gore ka bhed nahi
Har dil se hamara nata hai..
Kuch aur na aata hai humko
Humein pyar nibhana aata hai..

Jise maan chuki sari duniya
Ho, jise maan chuki sari duniya
Main baat wohi dohrata hun
Bharat ka rahne wala hun
Bharat ki baat sunata hun

Jite ho kisi ne desh to kya
Humne to dilo ko jita hai
Jahan ram abhi tak hai nar mai
Nari main abhi tak seeta hai

Itne pawan hai log jahan
Itne pawan hai log jahan
Main nit-nit shish jhukata hun
Main nit-nit shish jhukata hun

Bharat ka rahne wala hun
Bharat ki baat sunata hun

Ho..ho..hoho..
Ho..ho..hoho..
Itani mamta nadiyon ko bhi
Jahan mata kah ke bulate hain
Itna adar insan to kya
Patthar bhi puje jate hain..

Uss dharti pe maine janam liya
Ho, uss dharti pe maine janam liya
Yeh soch ke main itrata hun

Bharat ka rahne wala hun
Bharat ki baat sunata hun
Hai preet jahan ki reet sada
Ho..ho..hoho..