वफ़ा के नाम पर मिटाना अगर तू आबरु अपनि - The Indic Lyrics Database

vafaa ke naam par mitanaa agar tuu aabaruu apanii

Lyricist - Hasrat Jaipuri | Singer - Mukesh | Music Director - Shankar, Jaikishan | Movie - Naadaan | Year - 1971

View in native script

Wafaa ke naam
Par mitana nahi
Aaya agar tujhako
To phir jism-e-wafaa
Bazar me
Kyun bechati hai tu

Agar tu aabaru
Apni bacha leti
To achha tha
Jo apni aag me
Khud ko jala leti
To achha tha
Agar tu aabaru apni

Laga kar aag hotho se
Kisi ka ghar jala dena
Laga kar aag hotho se
Kisi ka ghar jala dena
Kisi ki jaan jana aur
Tera muskara dena
Ki tera muskara dena
Kisi par jaan dekar
Muskara leti to achha tha

Agar tu aabaru apni
Bacha leti to achchha tha
Jo apni aag me khud ko
Jala leti to achha tha
Agar tu aabaru apni

Sati to aan hoti hai tu
Unaki nishaani hai
Sati to aan hoti hai tu
Unaki nishaani hai
Na haragiz bhul begairat
Tu hindostani hai
Ki tu hindostani hai
Agar tu sharm ko jevar
Bana leti to achha tha

Agar tu aabaru apni
Bacha leti to achha tha
Jo apni aag me khud ko
Jala leti to achha tha
Agar tu aabaru apni.