किसी नज़र वो जो ने कहा है मेरे दोस्तो - The Indic Lyrics Database

kisii nazar wo jo ne kahaa hai mere dosto

Lyricist - Anand Bakshi | Singer - Mohammad Rafi | Music Director - Kalyanji, Anandji | Movie - Aamne Saamne | Year - 1967

View in native script

Nazar wo jo dushman
Pe bhi maharabaan ho
Nazar wo jo dushman
Pe bhi maharabaan ho
Zubaan wo jo ik
Pyaar ki daastaan ho

Kisi ne kahaa hai mere dosto
Kisi ne kahaa hai mere dosto
Bura mat suno bura
Mat dekho bura mat kaho
Kisi ne kahaa hai mere dosto
Bura mat suno bura
Mat dekho bura mat kaho
Buri hai buraai mere dosto
Bura mat suno bura
Mat dekho bura mat kaho
Bura mat suno bura
Mat dekho bura mat kaho

Zamaane mein sab
Zindagi yoon guzaaren
Zamaane mein sab
Zindagii yoon guzaaren
Gulistaan mein rahti
Hain jaise bahaarein
Ye kahaani yahi
Hai zindagaani yahi hai
Ye kahaani yahi hai
Zindagaani yahi hai

Jiyo aap auron ko bhi jeene do
Bura mat suno bura
Mat dekho bura mat kaho
Bura mat suno bura
Mat dekho bura mat kaho

Haseen hain bahut
Zulf ke bhi fasaane
Haseen hain bahut
Zulf ke bhi fasaane
Muhabbat ki baatein
Wafa ke taraane
Ye taraane sunaao
Ye fasaane sunaao
Ye taraane sunaao
Ye fasaane sunaao
Magar yaad rakho
Mere saathiyo
Bura mat suno bura
Mat dekho bura mat kaho
Kisi ne kahaa hai mere dosto
Buri hai buraai mere dosto
Bura mat suno bura
Mat dekho bura mat kaho
Bura mat suno bura
Mat dekho bura mat kaho.