समझ कर चाँद जिस को - The Indic Lyrics Database

Samajh Kar Chand Jis Ko

Lyricist - Zameer Kazmi | Singer - Alka Yagnik, Vinod Rathod | Music Director - Anu Malik | Movie - Baazigar | Year - 1993

Song link

View in native script

Samajhkar chaand jisko
Aasmaan ne dil mein rakha hai
Samajhkar chaand jisko
Aasmaan ne dil mein rakha hai
Mere mehboob ki tooti hui
Chudi ka tukda hai
Mere mehboob ki tooti hui
Chudi ka tukda hai
Samajhkar chaand jisko
Aasmaan ne dil mein rakha hai
Samajhkar chaand jisko
Aasmaan ne dil mein rakha hai
Meri nazron se dekho toh
Woh mere dil ka tukda hai
Meri nazron se dekho toh
Woh mere dil ka tukda hai

Tere mehandi lage haathon
Mein jab hudi khanakti hai
Toh iss gori kalaai mein
Yeh dil banke dhadakti hai
Yeh dil banke dhadakti hai
Yeh dil banke dhadakti hai
Yeh chudi aashiqon ko
Pyar ke nagme sunati hai
Suhani raat ki khamoshiyo
Mein heer gaati hai
Yeh chudi heer gaati hai
Yeh chudi heer gaati hai
Zameen par jo utar aaya
Yeh woh jannat ka nagma hai
Samajhkar chaand jisko
Aasmaan ne dil mein rakha hai
Mere mehboob ki tooti hui
Chudi ka tukda hai
Meri nazron se dekho toh
Woh mere dil ka tukda hai

Mere mehboob jaisa iss
Zamaane meinnahi koi
Diya leke bhi dhundo
Toh nahi aaisa hasi koi
Nahi aaisa hasi koi
Nahi aaisa hasi koi
Kabhi tuute se tuute
Na hamare pyar ki dori
Teri chahat bhi bas
Mere liye anmol hai gori
Badi anmol hai gori
Badi anmol hai gori
Juda hum tum nahi honge
Humara tumse waada hai
Samajhkar chaand jisko
Aasmaan ne dil mein rakha hai
Meri nazron se dekho toh
Woh mere dil ka tukda hai
Mere mehboob ki tooti hui
Chudi ka tukda hai.