इक दिन जाना, इक दिन जाना है पी की नगरिया जाना - The Indic Lyrics Database

ik din jaanaa ik din jaanaa hai

Lyricist - Meera Bai | Singer - Dilip Kumar Roy  | Music Director - Dilip Kumar Roy  | Movie - (Non-film) | Year -  (1940s)

View in native script

is desh ke jawaano.n ko ab aazamaayaa jaayegaa

aazamaayaa jaayegaa

sholaa hai zamiin banii bijalii giraaye aasamaa.N

aag ke sholo pe chalaa desh kaa ye kaarawaa.N

kaun siinaa taan nikale

desh mere kaa jawaan

hi.nd par wo mar miTe uu.Nchaa kare komii nishaa.N

kaun aage ba.Dhake pehale pehalii golii khaayegaa

aazamaayaa jaayegaa

desh kii vidhavaa pukaare bhaag jinake so gaye

saaye sar se uTha gaye bachche yatiim ho gaye

gurabat kaa ek tuufaan uThaa

bahano.n se bhaai kho gaye

maataao.n kii aa.Nkho.n ke taare rote rote so gaye

kaun aaj in deviiyo.n ke rote dil ha.Nsaayegaa

aazamaayaa jaayegaa

is desh ke jawaano.n ko ab aazamaayaa jaayegaa

aazamaayaa jaayegaa

uma.nge.n miT rahii hai.n aaj benaamonishaa.n ho kar

bataa ae kaatibeqisamat likhaa kayaa badagumaa.n ho kar

tavaqqo thii vo aae.n ge to dil ko chain aae gaa

magar betaabiyaa.n uTThii.n kaleje me.n jawaa.n ho kar