मुझे गले से लगा लो - The Indic Lyrics Database

Mujhe Gale Se Laga Lo

Lyricist - Sahir Ludhianvi | Singer - Asha Bhosle | Music Director - Ravi Shankar Sharma (Ravi) | Movie - Aaj Aur Kal | Year - 1963

Song link

View in native script

Mujhe gale se laga lo
Bahut udas hu mai
Ghame jaha se chhuda lo
Bahut udas hu mai
Mujhe gale se laga lo
Nazar me tir se chubhte
Hai ab nazaro se
Mai thak gayi hu
Sabhi tute saharo se
Ab aur bojh na dalo
Bahut udas hu mai
Ghame jaha se chuda lo
Bahut udaas hu mai
Mujhe gale se laga lo

Bahut sahi gham e duniya
Magar udas na ho
Bahut sahi gham e duniya
Magar udas na ho
Karib hai shab e gham
Ki sahar udas na ho
Bahut sahi gham e duniya

Sitam ke hath ki talvar tut jayegi
Ye unch nich ki divar tut jayegi
Tujhe kasam hai meri
Hamsafar udas na ho
Tujhe kasam hai meri
Hamsafar udas na ho
Bahut sahi gham e duniya

Na jane kab ye tarika
Ye taur badlega
Sitam ka gham ka
Musibat ka daur badlega
Mujhe jaha se utha lo
Bahut udas hu mai
Ghame jaha se chhuda lo
Bahut udas hu mai

Bahut sahi gham e duniya
Magar udas na ho
Karib hai shab e gham
Ki sahar udas na ho
Bahut sahi gham e duniya.