इंडियवाले - The Indic Lyrics Database

Indiawaale

Lyricist - Irshad Kamil | Singer - Krishnakumar Kunnath (K.K), Neeti Mohan, Shankar Mahadevan, Vishal Dadlani | Music Director - Shekhar Ravjiani, Vishal Dadlani | Movie - Happy New Year | Year - 2014

Song link

View in native script

Ho maane ya koi maane na
Yahaan apni bhi thodi
Adaa thoda andaaz hai
Aise hain chaahe waise hain
Arey jo bhi hain jaise hain
Khud pe humein naaz hai

Jaane na humko ye zamana
Chaaho to humko aazmana
Hum yaar baaz hum jaal saaz
Hum ishq baaz dilwaale
Kehte hain humko
Pyar se india waale
Chhu lete dil k
Taar se india waale
Har jeet cheen le
Haar se indiawaale
Dushman ke chakke
Chhuda de hum indiawale
Dushman ke chakke
Chhuda de hum indiawale

Yun toh seedhe bade
Kabhi chahein to hathon se
Lete laqeerein chura
Ohumko parwaah nahi
Jo bhi kehta hai kehne
De jag ye bhala ya bura
Jaisi bhi marzi ho humaari
Karte hain aisi hoshiyaari
Par dil se yaar jo le pukaar
To jaan nisaar kar daale
Kehte hain humko
Pyar se india wale
Chhu lete dil ke
Taar se india wale
Har jeet cheen le
Haar se indiawaale
Dushman ke chakke
Chhuda de hum indiaawale
Ungli pe sabko nachaa
Dein hum indiawaale

Aankhon ki
Aankhon ki chaabi se
Thoda betaabi se chupke
Se khole dilon ke taale
Jaan dete usko jahaan dete
Apna imaan dete jiski
Bhi baahe gale me daale

Duniya se humko kya le jaana
Yaaron ke dil mein ho thikana
Humein ek baar hota hai pyaar
Ye laakh baar kehla le
Kehte hain humko
Pyar se india wale
Chhu lete dil ke
Taar se india wale
Har jeet cheen le
Haar se indiawaale
Dushman ke chakke
Chhuda de hum indiawale
Dushman ke chakke
Chhuda de chhuda de
Ungli pe sabko nachaa dein
Dushman ke chakke
Chhuda de hum indiawale.