ओ यारों माफ़ करना - The Indic Lyrics Database

O Yaron Maaf Karana

Lyricist - Sameer | Singer - Abhijeet Bhattacharya, Alka Yagnik, Kumar Sanu, Saud Khan, Shabbir Kumar, Sonu Nigam | Music Director - Nadeem Saifi, Shravan Rathod | Movie - Aa Ab Laut Chalen | Year - 1999

Song link

View in native script

O yaaro maaf karna kuch kahne aaya hoon Kuch apne bareme samjhane aaya hoon O yaaro maaf karna kuch kahne aaya hoon O yaaro maaf karna kuch kahne aaya hoon Kuch apne bareme samjhane aya hoon Main hoon pardeshi naujawan, Dil mein rahne aaya hoon Dil mein rahne aaya hoon O yaaro maaf karna kuch kahne aaya hoon O yaaro maaf karna kuch kahne aaya hoon Oy..oy…oy…mere ehle vatan, O tera kya kahna Nasrino saman, o tera kya kahna Khushboo e chaman tera kya kehna Meri gango jaman tera kya kehna Oy…oy…oy…ae desh se aanewale bata Kaisa hai mera mehboob vatan Kaisa hai mera mehboob vatan Kya ab bhi vahan khaliyanome, Sab neem ke niche sote hai Kya ab bhi vahan bachpanwale, Woh khel suhane hote hai Kya ab bhi vahan rajarani ke, Kisse dadi sunati hai Kya ab bhi vahan per bachhon ko, Maa lori ga ke sunati hai Kya ab bhi vahan baisakhi mein, Sab jhumke bhangda pande hai Oy…oy…oy…kya ab bhi vahan barato mein, Sab tashe dhol bajande hai Oy…oy…oy…kya ab bhi vahan ke Dhabo mein milti hai makke di roti Oy…oy…oy…kya ab bhi vahan ke Melo mein udti hai hasinoki choti Tere desh ki mitti ki Vohi khushboo laya hoon, Vohi khushboo laya hoon O yaaro maaf karna kuch kahne aaya hoon Kuch apne bare me samjhane aaya hoon…. Ae mere vatan kurbaan Tu meri aan…vai vai…tu meri shan…vai vai Tu meri jaan…vai vai…tujhpe kurbaan…vai vai Mera armaan…vai vai…meri pahchan…vai vai Mera imaan…vai vai…tujhpe kurbaan…vai vai Kya ab bhi muhobbat ki lahre Uthti hai chanab ke pani se Kya ab bhi suroor chalkta hai Madmast hawa ki rawani se Kya ab bhi vahan pe Galib meer ki gazle gaayi jaati hai Kya ab bhi vahan pe Mastani mahfilen sajai jaati hai Kya ab bhi vahan ki iado mein Aati hai sevayiyoki khushboo Kya ab bhi vahan tyoharo mein Lagte hai woh mele harsoo Kya ab bhi vahan per shadi mein Dulhe ka sehra gaate hai Kya ab bhi vahan khushhaali mein Ghar ghar laddo bhijwate hai Tu laga le gale mujhko Main bhi tera hi sayaan hoon Main bhi tera hi sayaan hoon O yaaro maaf karna kuch kahne aaya hu Kuch apne bare me samjhane aaya hoon Main hoon pardeshi naujawan, Dil mein rahne aaya hoon Main hoon pardeshi naujawan, Dil mein rahne aaya hoon Main hoon pardeshi naujawan, Dil mein rahne aaya hoon Aa…aa…aa…aa… Aa…aa…aa…aa…