Lyricist - G S Nepali | Singer - Amirbai | Music Director - S D Burman | Movie - Shikari | Year - 1946
View in native scriptek baar phir se aajaa
dil me.n mere samaa jaa
ek baar phir se aajaa
ai zindagii kii raahat
ai jannato.n kii jannat
ek baar phir se aajaa
dil me.n mere samaa jaa
ek baar phir se aajaa
huure.n nisaar tujh par
sadaqe bahaar tujh par
jaanebahaar tuu hai
dil kaa qaraar tuu hai
tujhako qasam hayaa kii
apanii har ek adaa kii
ik baar muskaraa jaa
dil me.n mere samaa.N jaa
ek baar phir se aajaa
dekhaa hai jab se tujhako
diiwaanaa ho rahaa hai
mai.n is se aur ye mujhase
begaanaa ho rahaa hai
dil hai magar nahii.n hai
sab kuchh hai par nahii.n hai
tere baGair duniyaa
yaa Kaab yaa khilaunaa
is Kaab se jagaa jaa
dil me.n mere samaa.N jaa
ek baar phir se aajaa
dil me.n mere samaa.N jaa
ek baar phir se aajaa