इस देश के जवांनों को अब आज़माया जाएगा - The Indic Lyrics Database

is desh ke jawaanon ko ab aazamaayaa jaayegaa

Lyricist - Rajinder Krishan | Singer - Suraiyya | Music Director - Husnlal-Bhagatram | Movie - Amar Kahani | Year - 1949

View in native script

is desh ke jawano ko ab aajmaya jayega
aajmaya jayega
is desh ke jawano ko ab aajmaya jayega
aajmaya jayega
shola hai jamin banee bijlee giraye aasman
aag ke sholo pe chala desh kaa yeh karwan
kaun sina tan nikale kaun sina tan nikale
desh mere kaa jawan
hind par wo mar mite uncha kare komi nishan
hind par wo mar mite uncha kare komi nishan
kaun aage badhke pehle pehali golei khayega
aajmaya jayega

desh kee vidhwa pukare bhag jinke so gaye
saye sar se utha gaye bachhe yatim ho gaye
gurbat kaa ek tufan utha gurbat kaa ek tufan utha
bahano se bhai kho gaye
matao ki aankho ke tare rote rote so gaye
kaun aaj in deviyo ke rote dil hansayega
aajmaya jayega

is desh ke jawano ko ab aajmaya jayega
aajmaya jayega
umange mit rahi hai aaj benamo nishan ho kar
bata ai katib-e-kismat likha kaya badguman ho kar
tavakko thee woh aayenge to dil ko chain aaye ga
magar betabiya utthee kaleje mein jawan ho kar