अपने मेहबूब की - The Indic Lyrics Database

Apne Mehboob Ki

Lyricist - Faaiz Anwar | Singer - Alka Yagnik, Udit Narayan | Music Director - Aadesh Shrivastava | Movie - Bade Dilwala | Year - 1999

Song link

View in native script

Apne mehboob ki tasveer banane ke liye
Apne mehboob ki tasveer banane ke liye
Main chala rang gulabo se churane ke liye
Apne mehboob ki tasveer banane ke liye
Apne mehboob ki tasveer banane ke liye
Main chali rang gulabo se churane ke liye

Aaj ki raat chirago ko bhuja rahne do
Julf mat bando inhe yu hi khula rahne do
Apni chahat ka meri jaan nasha rahne do
Rahne do, rahne do,  nasha rahne do

Teri chahat ke hasin kawab mein kho jaunga
Teri julfo ki siya raat mein so jaunga
Sath chhuta to main barbad bhi ho jaunga
Tu zaroori hai bahut mere khajane ke liye
Main chala rang gulabo se churane ke liye
Apne mehboob ki tasveer banane ke liye
Main chali rang gulabo se churane ke liye

Apni palake meri aanko pe juka ker dekho
Jeel ko aaj samandar se mila ker dekho
Meri baho me chale aao fir aa ker dekho
Aao na aao na, aa kar dekho

Main tere sang kahi se bhi gujar sakti hu
Dur mat jana mujhe chhod ke mar sakti hu
Toot ker phool ki tarah se bikhar sakti hai
Umar bar sath raho mere mujhe bachane ke liye
Main chali rang gulabo se churane ke liye
Apne mehboob ki tasveer banane ke liye
Main chala rang gulabo se churane ke liye
Main chali rang gulabo se churane ke liye.