बस्ती बस्ती नगरी नगरी - The Indic Lyrics Database

Basti Basti Nagri Nagri

Lyricist - Verma Malik | Singer - Asha Bhosle, Mohammed Rafi | Music Director - Ravi Shankar Sharma | Movie - Aadmi Sadak Ka | Year - 1977

Song link

View in native script

Basti basti nagri nagri Kah do gaaon gaaon me Kal tak the jo sar pe chade Wo aaj pade hai paav me Re basti basti nagri nagri Kah do gaaon gaaon me Kal tak the jo sar pe chade Wo aaj pade hai paav me Itni chhoti si galti ki Itni badi saza na do Bhul ki mafi mang raha hu Ab to mujhko maaf karo Bhul ki mafi mang raha hu Ab to mujhko maaf karo Abhi to tumko pata chalega Kya hai aate dal ka bhav Apni karni ka phal bhogo Maafi wafi bhul jaao Apni karni ka phal bhogo Maafi wafi bhul jaao Are waqt badalte der lage na Waqt badalte der lage na Us malik se kuch to daro Husn pe itna na itrao Kal ki bhi kuch fikar karo Husn me kitni takat hai Tum bhul gaye nadani me Sharam hai kuch to dub maro Tum ab chulu bhar pani me Sharam hai kuch to dub maro Tum ab chulu bhar pani me Bahut niradar hua hamara Raha nahi dil par kabu Todke bandhan duniya ke Ab hone chale hai hum sadhu Ab hone chale hai hum sadhu Barso lag jayenge bhaiya Ugne me asali dadhi Isiliye jhole me rakh kar Laya hu nakli dadhi Yadi kuwari kanya koi Sankat me phas jayegi Tod samaadhi madad karunga Jab bhi wo chillayegi Alvida alvida alvida alvida Ae duniya walo kaha suna bisra dena Mere hriday ki dukhad katha Tum is yantar se sun lena Jai shankar Yantar band kiya to kya Yantar band kiya to kya Hum dhuni yahi ramayenge Bachhe bachhe ko bachha Ab sari katha sunayenge Jai ho jai ho swaami ji ki Bhed jagat ka chhupa hai Swami aaj tumhari aankho me Unpar aancha na aaye jinki Laaj tumhare hatho me Phenk do jhola noch lo dadhi dadhi Phenk do jhola noch lo dadhi Apne dil ko saaf karo Humne apni galti mani Ab to humko maf karo Dost ka itna kare niradar Apna nahi ye sewa hai Jo bhi cheli sharan me aaye Usko milti mewa hai Basti basti nagri nagri Kah do gaaon gaaon me Basti basti nagri nagri Kah do gaaon gaaon me Kal tak the jo bigde bigde Aaj hai apni baaho me Kal tak the jo bigde bigde Aaj hai apni baaho me Aaj hai apni baaho me.