दिल इंसां का एक तराजुउ के आजा तेरी याद आई - The Indic Lyrics Database

dil insaan kaa ek taraajuu ke aajaa terii yaad aaii

Lyricist - Anand Bakshi | Singer - Lata Mangeshkar, Manna De | Music Director - Laxmikant, Pyarelal | Movie - Pushpanjali | Year - 1970

View in native script

Dil insaan kaa ek taraazu
Dil insaan kaa ek taraazu
Jo insaaf ko tole
Apni jagah par
Pyaar hai qaayam
Dharti ambar dole
Sab se bada such
Ek jagat mein
Bhed anek jo khole
Prem binaa jiwan sunaa
Yeh paagal premi bole

Ki aaja teri yaad aayi
Ki aaja teri yaad aayi
Ki aaja teri yaad aayi
O baalam harjaai
Ki aaja teri yaad aayi

Ki aaja teri yaad aayi
Ki aaja teri yaad aayi
O baalam harjaai
Ki aaja teri yaad aayi
Ki aaja teri yaad aayi

Zaalim kitni der laga di
Zaalim kitni der laga di
Tumne aate aate
Ab aaye jo ab naa aate
To hum jaan se jaate
Dil diwaanaa diwane
Ko ham kaise samjhate
Dete ram duhayi
Ki aaja teri yaad aayi
Ki aaja teri yaad aayi

Fursat bhi hai mausam bhi hai
Fursat bhi hai mausam bhi hai
Man hai rang raliyon mein
Chhup gayi hai tu
Khushboo ban ke
Shayad in kaliyon mein
Maine tujhko kitna
Dhoondha awara galiyon mein
Yeh awaaz lagaayi
Ki aaja teri yaad aayi
Ki aaja teri yaad aayi

Mast hawa ne baat koi
Mast hawa ne baat koi
Aisi keh di kaanon mein
Jaise koi madiraa bhar de
Khaali paimaanon mein
Tadpaa daalaa aaj machalte
Dil ke armaanon ne
Rut ne li angadai
Ki aaja teri yaad aayi
Ki aaja teri yaad aayi.