आओ बच्चों तुम्हें दिखाएँ - The Indic Lyrics Database

Aao Bachchon Tumhen Dikhaein

Lyricist - Pradeep | Singer - Pradeep | Music Director - Hemant Kumar. | Movie - Jagriti | Year - 1954

Song link

View in native script

Aao bachcho tumhe dikhaye jhanki hindustan ki Is mitti se tilak karo ye dharti hai balidan ki Vande mataram, vande mataram Vande mataram, vande mataram Uttar mein rakhwali karta parvatraj virat hai Dakshin mein charanon ko dhota sagar ka samrat hai Jamuna ji ke tat ko dekho ganga ka ye ghaat hai Baat-baat mein haat-haat mein yahan nirala thath hai Dekho ye tasveerein apne gaurav ki abhimaan ki Is mitti se tilak karo ye dharti hai balidan ki Vande mataram, vande mataram Vande mataram, vande mataram Ye hain apna rajputana naaz ise talwaron pe Isne saara jeevan kata barchhi teer kataaron pe Ye pratap ka watan pala hain azadi ke naaron pe Kud padi thi yahan hazaaron padminiyaan angaaron pe Bol rahi hai kan kan se kurbani rajasthan ki Is mitti se tilak karo ye dharti hai balidan ki Vande mataram, vande mataram Vande mataram, vande mataram Dekho mulk marathon ka yeh yahan shivaji dola tha Mughalon ki taakat ko jisne talwaron pe tola tha Har parvat par aag lagi thi har patthar ek shola tha Boli har-har mahadev ki bachcha-bachcha bola tha Sher shivaji ne rakhi thi laaj humari shaan ki Is mitti se tilak karo ye dharti hai balidan ki Vande mataram, vande mataram Vande mataram, vande mataram Jaliya wala bag ye dekho yahi chali thi goliyaan Ye mat puchho kisne kheli yahan khoon ki holiyaan Ek taraf bandooke dan-dan ek taraf thi toliyaan Marnewale bol rahe the inkalab ki boliyaan Yahan laga di behnon ne bhi baazi apni jaan ki Is mitti se tilak karo ye dharti hai balidan ki Vande mataram, vande mataram Vande mataram, vande mataram Ye dekho bangal yahan ka har chappa hariyala hai Yahan ka bachcha-bachcha apne desh pe marnewala hai Dhaala hai isko bijli ne bhuchalon ne paala hai Muththi mein toofaan bandha hai aur praan mein jwala hai Janmabhumi hai yahi humare veer subhash mahan ki Is mitti se tilak karo ye dharti hai balidan ki Vande mataram, vande mataram Vande mataram, vande mataram