तून तुना कभी खोले ना तिजोरी का ताला - The Indic Lyrics Database

tun tunaa kabhii khole na tijorii kaa taalaa

Lyricist - D S Sultaniya | Singer - Chandrani Mukherjee | Music Director - Chand Pardesi | Movie - Kitne Paas Kitne Door | Year - 1976

View in native script

Tun tuna tun tuna tun tuna
Tun tuna tun tuna tun tuna

Ho kabhi khole na tijori ka taala, haan mera sasura badha paise waala
Tun tuna tun tuna tun tuna
Tun tuna tun tuna tun tuna
Ho kabhi khole na tijori ka taala, haan mera sasura badha paise waala
Tun tuna tun tuna tun tuna
Tun tuna tun tuna tun tuna
Ho kab niklega iska dewaala, haan mera sasura badha paise waala
Tun tuna tun tuna tun tuna
Tun tuna tun tuna tun tuna

Hat jaao mat shor karo
Hat jaao mat shor karo, sasure ko mat bore karo
Sasura achchha banda hai, maana kaala dhandha hai

Oonchi mill ka maalik hai, chhote dil ka maalik hai
Oonchi mill ka maalik hai, chhote dil ka maalik hai
Itna dhan kaise aaya, main bolun aise aaya
Lekar naam naseebon ka
Lekar naam naseebon ka, choosa khoon gareebon ka
Sadhu bankar ye daaka daala, haan mera sasura badha paise wala
Tun tuna tun tuna tun tuna
Tun tuna tun tuna tun tuna

Miliye ab is gori se
Miliye ab is gori se, meri prem chakori se
Kaisi pyari lagti hai, abla naari lagti hai

Gaaon ko dhoka de aayi, mujhko shehar mein le aayi
Gaaon ko dhoka de aayi, mujhko shehar mein le aayi
Qad ki thodi chhoti hai, par shtranj ki goti hai

Aisi chaal ye chalti hai
Aisi chaal ye chalti hai, kehte jaan nikalti hai
Kaisi aurat se padh gaya paala, haan mera sasura badha paise waala
Tun tuna tun tuna tun tuna
Tun tuna tun tuna tun tuna

Ab tum poochho kaun hai yeh
Ab tum poochho kaun hai yeh, kitni der se maun hai yeh
Yeh sevak hai swami ka, rishtedaar hai tommy ka

Kadcha hai na khamcha hai, yeh chhota sa chamcha hai
Kadcha hai na khamcha hai, yeh chhota sa chamcha hai
Kutte sa peeche daude, pakde to phir na chhode

Achha is ka kaam nahin
Achha is ka kaam nahin, par yeh namak haraam nahin
Chori ke maal ka yeh rakhwaala, haan mera sasura badha paise waala

Tun tuna tun tuna tun tuna
Tun tuna tun tuna tun tuna
Ho kabhi khole na tijori ka taala
Ho kab niklega iska dewaala, haan mera sasura badha paise waala
Tun tuna tun tuna tun tuna
Tun tuna tun tuna tun tuna.